Ek Din Hazrat Ali Radhi Allahu Ta'ala
Anhu Ne Hazrat Siddiq e Akbar Radhi Allahu
Ta'ala Anhu Se Pucha Janaab Yeh To Farmaiye
Aap Itne Bade Martabe Par Kin Baato Se Pahunch
Gaye?
Siddiq e Akbar Ne Farmaya 5 Baato Se
1. Mene Logo Ko 2 Tarah Ka Paaya. Ek Woh Jo
Duniya Ki Talab Me Lage Rehte Hai.
Dushre Woh Jo Aakhirat Ki Talab Me Lage Rehte
Hai. Mene Moula Ki Talab Me Koshish Ki Hai
2. Me Jabse Islaam Me Aaya Hu Kabhi Duniya Ka
Khana Pait Bharkar Nahi Khaya Kyuki Irfaane
Haq (Haq Pasandi) Ki Lazzat Ne Mujhe Iss Duniya
Ke Khane Se Beniyaaz Kar Fiya
3. Jabse Islaam Me Aaya Hu Kabhi Sher Hokar
Paani Nahi Piya Kyuki Mohabbat Elaahi Ke Paani
Se Sairaab Ho Chuka Hu
4. Jab Bhi Mujhe Duniya Wa Aakhirat Ke 2 Kaam
Pesh Aaye To Mene Ukhardi Kaam Ko Mukaddam
(Aakhirat Ke Amal Ko Tarzeeh) Kiya Aur Duniyawi
Kaam Ki Kuch Parwah Kiye Bagair Ukhrawi Kaam
Hi Ko Iqhtiyaa Kiya.
5. Me HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Ki
Sohbat Me Raha. Meri Yeh Sohbat HUZUR
SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Ke Saath Badi
Acchi Rahi
(Nuzhatul Mazaalis Jild-2,Safa-304)
Sabak:
Hazrat Siddiq e Akbar Radhi Allahu Anhu Ummat
Me Sabse Bade Taalib e Moula (ALLAH Ki Talab
Me) Aarif e Qaamil, Muhibbe Haq (ALLAH Ki
Mohabbat Me) Mut'tki (Taqwe Wale,Parhezgaar)
Aur RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI
WASALLAM Ke Sahabi Hai
0 comments:
Post a Comment